Skip to main content

Emaan!!!

Wo Kehty Haina,
"Insaan Kisi Cheez Ko Dil Sy Chahy To Ussi Zaror Milti Hai" Galat  Kehte Hain. Kabhi Kabhi Koi Cheez Apko Jaan Se Ziada Aziz Hoti Hai Magar Wo Apko Nahi Milti, Koi Be'Zarar Se Wajah Hoti Hai, Aur Insaan Isi Kashmakash Mai Mubtala Ho Jata Hai K Aesa Kyun Hua? Mere Sath He Kyun Hua? Mujhe Meri Achai, Dayanat Ya Mohabbat Ka Badla Positive Kyun Nahi Mila? Aur Hum Apne Maazi Ki Wajah Se Apne Haal Se Bhi Na'Umeed Hojatay Hain. Na'Umeedi Ek Gunnah Hai. Apne Apko Aziyat Dena Bhi Mana Hai Phir Kyun? Kya Wo Cheez, Dost Ya Mohabbat Bhi Wahin Apka Intezar Kr Rahi Hai? Kya Unko Bhi Utni He Takleef  Or Aziyat Mehsos Hoti Hai Jitni Tmhe? Kya Unki Bhi Tmahri Jesi Kefiyat Hai? Ye Sab Khuda Janta Hai Jo Sheh'Rag Se B Kareeb Hai, Zahir, Baatin, Acha, Bura Woh Sab Janta Hai. Jisne Tmhre Liye Duniya Banai Jo Sattar (70) Maa'on Se Ziada Chahta Hai Wo Kyun Bura Krega Tmhre Liye? WOH Kehta Hai K; "Ho Sakta Hai K Jo Tmhe Pasand Ho Wo Tmhre Liye Acha Na Ho, Aur Ho Skta Hai Jo Tmhe Na-Pasand Ho Wo Tmhare Liye Behtreen Ho"(Al-Baqarah). Agar Kuch Galat Hoga To Wo Tmhari Apni Kohtaiyo Ki Wajah Se Hoga. Kisi Cheez Ko Itna Na Chaho K Wo Tmahri Kamzori Ban Jae Kyunki Khuda Ki Mohabbat K Siwa Har Mohabbat Ko Zawal Hai. ALLAH Ki Chah Mai Khush Hojao Tmhari Chah Wo Tmhe Zaror Dega!!! ♡♡♡

Comments